black_diamond

Paresaan nahi thik hoon mein

dekha javab mila mujhe ki,
pareshan nahin thik hoon main.

tum sochana nahin mujhe kabhi,
tum dhoondhana nahin mujhe kabhi,
pareshan nahin thik hoon main.
jab tasvire dekh jao kabhi,
jab aankhon mein pani lao kabhi,
rumaal nikaal pochh sakate ho,
ya itana pani to sokh sakate ho

par mujhe kuch nahin kahana kyonki,
pareshaan nahi thik hoon main.
jab likha hua kuch mil jae,
dil mein phir se aramaan khil jae,
kuch nahi daba lena sab kuch,
ya kitab bana dena sab kuch,
par mujhe kabhi mat padhaana kyonki,
pareshaan nahin thik hoon main.

yaad mein tum raat guzaar do agar,
ye koi nai baat nahi hogi magar,
chaand ko dekhate mera ashak nazar aaye,
muh pher lena apana shayad ishq mar jaye,
par mujhe pareshaan mat karana kyonki,
pareshaan nahi thik hoon main.