Sameer

\"Zamaana aur main\"

Zamaana : \"ek ladka aur ladki kabhi dost nahi ho saktey...\"
Main : \"haan, kabhi kabhi dost se zyadaa bhi ho jata hai koi\"

 

Zamaana : \"kisey bewakoof samajhtey ho? Dosti ki aad me, apni khwaahishon ko panaah dete ho...\"
Main : \"kaun kehta hai ki, khwaahishein sirf ishq ki jaagir hai? Kuch dost khwaahishon se Kam kaha hotey hain...\"

 

Zamaana : \"ek gair se itni ulfat, tumhe kabhi raas na aayega...\"
Main : \"jab tootey kabhi apno se saath, to ek dost hi kaam aayega...\"

 

Zamaana : dosti bhi koi nibhaane ki cheez hai bhala..?\"
Main : \"kya nibhaane ki shart sirf mohabbat me shaamil hai.? ye dosti me bhi utna hi laazim hai...\"

 

Zamaana : dosti aur mohabbat me Kya farq hai..?\"
Main : \"dosti aur mohabbat, ek sikkey ko do pehlu hai, mohabbat me dosti, aur dosti me mohabbat, ye to fitrat hai...\"

 

Zamaana : \"aisaa Kya hai usme? Wo jo itna mehboob hai tujh ko?
Main : \"uski aawaaz, uska andaaz, uska kirdaar, bhaa gaya mujh ko...\"

 

Zamaana : \"tum Jo uski itni taareef karte ho, Kya ussey mohabbat karte ho..?\"
Main : \"mohabbat ki manzil Dil hai agar, to un raaston ko hum ne dosti ka naam Diya hai...\"

...
...\"Ye zaruri to nahi ke gar wo sath hai, to humare beech koi chakkar hai,
Aye Zamaana, kaan khol aur sun le, 
wo mera dost hai, aur wo mujhe acha lagta hai...\"