(Part -3)
...
Hum : \"kaha le ja rahi ho mujhe..?\"
Tum : \" aao to batati hu\"
(Ye keh Kar wo mujhe lehron ki taraf le ja rahi thi, thandi ret se chal Kar hum un sannaaton me goonjti lehron ke qareeb ja pohanche the, usne mera haath chhod diya tha, aur apne dono haantho se usney khud ko galey laga liya tha)
(Ek ajab si Khushi uske chehre par thi, us kaali raat ke andheron me bhi uske aankhon ki chamak main saaf dekh paa raha tha, ye chamak, ye ajab si muskaan mujhe kuch jaani pehchaani lag rahi thi, jaise main unsey pehle bhi mil Chuka tha)
(Issey pehle ki main ussey kuch poochhta)
Tum : \" mujhe tumhe ek baat bataani hai.\"
(Kuch ghadi khaamosh rehne ke baad)
Hum : \" kya baat..?\"
(Uski wo chamakti aankhein ab mujhe dekh rahi thi, par na jaane Kyu mujhe ajab si bechaini hone lagi, un aankhon me doob jaane ko Dil machalne laga ho jaise, jee Kiya keh dun ke, wo apni nazrein neechi Kar le ke kahi main khud me aapaa na kho baithun)
Tum : \"mujhe Pyaar ho gaya hai.\"
(Uske ye shabdh kehne hi the ke mere qadmon ke neeche jaise zameen nikal gayi thi, mere Dil ki dhadkan jaise tham si gayi thi)
Hum : \"Kya..! Kya kaha tumne..?
(Apne jazbaat ko sambhaalte hue maine poochha)
Tum : \"haan, mujhe pyaar ho gaya hai.\"
(Khushi mere aankhon me kuch qatron ke saath utar aayi thi, wo lehron ka shor ab kisi madhosh bhare sangeet ki tarha mere kaanon me bajne laga, main apne tootey sapnon ko ek baar phir se sajney laga )
Hum : \"kissey..?\"
( Is sawaal ke baad main bus apna naam uske labon se sunney hi wala tha, ke mere Dil ko wo sukoon milne hi wala tha, jiske liye main ab tak tadap raha tha, beetey palon ke mere saare dard uske in shabdon ne ek pal me mitaa diya tha, aaj main jhoom jhoom kar naachna chahta tha, ke aaj humesha ke liye wo mera ho jaane wala tha, aur main uska, uske saath main wo har sapne ko jeena chahta tha Jo maine hum dono ke liye dekha tha kabhi, bus wo poorey hone hi wale the)
(Usne ek baar phir Meri taraf dekha aur muskurane lagi, main uski aankhon me doob Chuka tha, mere chehre par wo sukoon phir se laut aaya tha)
Tum : \" main ek Ladke se Pyaar karti hun, aur main ussey apne Dil ki baat kehna chaahti thi, bohat waqt se par kabhi mauka na mila, magar aaj.\"
Hum : \" magar aaj..?\"
( Khushi ke Josh me Maine uski baat kaattey hue kaha)
(Kuch der uski nazrein mujh pe thehar kar un lehron ki or hui)
Tum : \" magar aaj, maine ye tai Kar liya ke ussey apne Dil ki baat keh dungi.\"
Hum : \"keh do na phir, main to kab se is pal ke intezaar me tha.\"
( Ye maine ussey nahi, apne machaltey Mann se kaha)
Tum : \"aur maine keh diya\"
(Uski is baat par mere hontho ki hansi to badh gayi, par Dil ko ek hairaani bhi ho gayi ke, usney ab tak wo to nahi kaha jo usey mujh se kehna chahiye tha)
Hum : \"keh diya..! Par ab tak tumne kuch kaha hi kahaan..?\"
(Wo Meri taraf mudi aur mere haathon ko apne haath me le liya)
(Meri Khushi ka to jaise koi thikaana hi nahi raha tha, main khud se waada Kar Chuka tha ke ab ye haath main kabhi nahi chhodunga)
Tum : \"Maine aaj apne Dil ki baat Qais se keh di, ki main ussey pyaar karti hun aur main bohat khush hun ke wo bhi mujh se pyaar karta hai.\"
( Uskey un shabdon ne kisi talwaar ki tarah mere Dil ke tukdey tukdey Kar diye the, aur main andar hi andar lahu lohaan, tadap raha tha, wo sangeet bhari lehrein kisi cheenkhtey shor ki tarah mere kaanon me goonjney lagi ke main apne kaanon ko dhakk leta ke kahi main deewaana na ho jau un dard bhari cheenkhon ke beech)
(Ek baar phir wo Khushi me doobey aankhon ke qatrey dard se badal gaye, wo toot kar beh jana chahtey the, par wo tadap kar wahi reh gaye)
Tum : \" haan..! Main Sach keh rahi hu.\"
(Apne haatho me usney mere haathon ko dabaatey hue kaha)
Hum : \" to ye tum mujhe Kyu bata rahi ho..?\"
(Maine apne haathon ko uski girafth se nikaltey hue kaha)
(Meri aankhein neechi ki or thi, aur Dil to jaise aakhri saansein gin raha tha)
Tum : \" Maine tumhe isliye bataya ke tum mere ache dost ho na, aur mujhe tumhari help ki zarurat hai.\"
(Ye keh Kar usney phir se Mera haath thaamna chaaha, par is baar apne haathon ko uski girafth se chhudatey hue main ussey door jaane laga)
Tum : \" arey kahaan ja rahe ho, suno to\"
...
...
...
\"Kisi talwaar me wo kaat kahaan thi, ke cheer deti seena mera,
Ke bus kuch shabdh hi kaafi the, chheenney ko saansein Meri\"
...