Sameer

\"Daastaan - 4\"

 

(Part -4)

...
Tum : \"kahaan ja rahe ho..? Meri baat to suno, Sameer\"
(Ye kehti hui wo mere peechhe ki or daudi)
(Main uski pukaar ko nazar-andaaz kar, apne bikhrey armaano ko apne Dil ke tukdon me chhipaaye chala ja raha tha)
(Ek waqt tha jab uski ek \'aah\' par main dauda Chala jata tha, aur ek waqt ye hai ke wo aawaaz mere kaanon me chubhne lagi thi)
( Lehron ka wo shor ab dheema ho gaya tha, bus ek aawaaz mere naam ki jo uske labon par thi, Usne laakh pukaara par meri na himmat hui na marzi ke main palat kar usey dekhta ya uski baat sunta, mere qadam uski har pukaar ke saath ussey door ja rahe the, ke ye phir kabhi uski taraf laut Kar na aatey, dekhtey dekhtey main kisi parchhaayi ki tarah andheron me gum ho gaya)
...
...
Tring... Tring... Tring... Tring...
(Phone ki ring aur ek udaasi bhare chehre ke saath apne sir ko takiye se lagaye wo kuch soch rahi thi, usne apni ek nazar ko phone par Kiya, aur achanak se uth khadi hui, \'Sameer\' ye kehte hue usne apna phone jhat se uthaya)
Tum : \"hello..!\"
(Saamne se koi aawaaz na aayi)
Tum : \" Hello, Sameer..?\"
(Phone ke dusri taraf main chup tha)
Tum : \"hello, Sameer, tum sun rahe ho..?\"
Hum : \" Hmmm...\"
( Bus main yahi keh paaya)
Tum : \" tum us tarah se chale Kyu gaye..? main to tumhe apne Dil ki baat bataane aayi thi,  tum waha se chale gaye bina kuch kahey suney, mujhe tumhari zarurat thi\"
(Zarurat titli ki tarah hoti hai, kabhi is pal yahaan to kabhi us pal wahaan)
(Kal mujhe uski zarurat thi, aur aaj usey meri)
Tum : \" Kya tum mujh se mil saktey ho..?\"
( Uska ye poochhna mere Dil ko chubh raha tha, ke pichhli mulaakaat ke dard ne to mujhe jaise maar hi daala tha, bhala main Kyu ussey milna chaahta phir kabhi)
Tum : \"suno, please Mana mat karna, par mujhe ek dost ki zarurat hai.\"
(Bus uske is ek shabdh ne mujhe bolne par majboor Kar diya)
Hum : \"Thik hai\"
(Ye keh Kar maine phone ko disconnect kar diya)
...
(Meri nazrein ranj-o-gam ke bojh se neeche ki or thi, aur main is baat se hairaan tha ke aakhir main ussey milne ko mana Kyu na Kar sakaa, issey pehle ki main kisi yaad me gum ho jataa, ek aawaaz ne kahin se mujhe pukaara)
Tum : \"Sameer, tum aa gaye, thank you so much aane ke liye\"
(Dard ke bojh ke saath meri aankhein upar ki or hui, aur uske chehre se ja mili)
Hum : \"Tum Kya chaahti ho mujh se..?\"
(Haalaan ki ye sawal is baat par tha ke tum mujh se chaahti Kya ho? Mera saath to tumnne diya nahi, phir Kyu mere sath ki tumhey zarurat pad gayi.? badi mushkil se maine khud ko samabhaala tha phir tum meri zindagi me kyu wapas laut aayi.,? Kya itna dard kaafi na tha jo tumne mujhe tohfey me ek aur dard de diya, ya aur bhi kuch baaki hai.?)
Tum : \" mujhe bus ek dost ki madad ki zarurat thi, aur mere Dil me sab se pehle tumhara khayal aaya, isliye maine tumhe bulaya.\"
(Uski is baat par main khamosh raha)
Tum : \"ek baat poochhu tumse..?\"
(Usne apne sir ko jhukaate hue, meri jhuki nazron se mila Kar kaha, hum dono ki nazrein ek sath upar ki or hui)
Hum : \" Poochho Kya poochhna hai..?\"
Tum : \" Tum ab tak wo baat bhooley nahi ho..?\"
Hum : \"kaun si baat..?\"
(Main jaanta tha, wo kis baare me baat Kar rahi thi par maine anjaan ho Kar poochha)
Tum : \"Tumne apne Dil ki baat mujh se kahi thi, par maine tumhe mana Kar diya ke hum bus dost hain, mujhe laga tum samajh gaye ho aur hum ab bhi dost hain, par shayad tum ab bhi kuch nahi bhooley ho.\"
(Bhala ye koi haadsa ya bura sapna tha jisey main bhool jata, ye to mere Dil ke sache eshaas the, jiski qadar na usey pehle thi aur na aaj)
( Mujh par Kya beeti, bhala ye wo kaise jaan paati, un tadaptey bikhartey armaano ko na usne dekha aur na mehsoos kiya, na usney us dard ko mehsoos kiya, Jo aaj bhi kahi mere Dil ke kisi koney me maujood tha, usey na meri bechaini ka ehsaas tha na meri be-basi ka, wo to bus ye jaanti thi ke wo main tha jo humari dosti ko galat nazriye se dekhne laga tha)
(Kisi ke liye ehsaas ho jana galat hai? kisi ka Dil ko bhaa jana galat hai? kisi ko apna samajh lena galat hai? Aur phir ussey apne Dil ki baat keh dena galat hai? Kya galat hai?)
(Galat to ye hai ke hum kisi ko chaahein aur phir unsey ummeed Kare ke wo bhi humein chaahey ye galat hai, Pyar ke badley Pyar ki ummeed ye galat hai, Koi humein thukra de phir bhi uske peechhe bhaagey, gidgidaaye, pyar ki bheek maangey ye galat hai)
(Pyar kisi soney ke sikkey ka naam nahi jisey haasil kar ke bus usey tijori me band Kar ke rakha jaaye, Pyar to ek khoosurat parindey ki tarah hai, jiski Khushi uske aazaad rehne me hi hai, kisi bhi kasam ya bandhan se aazaad)
...
( Kuch der Main apni hi soch me gum raha)
Hum : \"aisa kuch nahi hai.\"
(Maine ussey jhoot hi kaha)
Tum : \" To tum sab bhulaa chukey ho..?\" 
Hum : \"Hmmm\"
( Ek aur jhooth ke saath maine apne sir ko haan me hilaatey hue kaha)
Tum : \" Matlab hum aaj bhi dost hain na..?\"
Hum : \" Haan\"
(Ek baar phir mera ishara haan me tha, par is baar main jhoota nahi tha, bhale hi mere ehsaas uske qareeb maiyne na rakhte ho, bhale hi usne mere Dil ko toda ho, par usske saath mera sab se pehla rishta dosti ka hi tha, aur ab bhi hai, aur humesha hi rehta)
Tum : \"Thank you so much, mujhe samjhne ke liye, ek tum hi ho jisey main apna sacha dost keh sakti hu, isliye jab mujhe ek dost ki zarurat padi, mujhe bus tumhara khayal aaya, pehle to mujhe laga pichhli wajah se shayad tum mujh se kabhi baat hi na karte par main ye bhi jaanti thi ke tum ab bhi mujhe apna dost maantey ho aur mujh se zarur milo ge aur.....\"
Hum : \" Kya zarurat thi tumhe..?\"
( Shayad wo kuch aur bhi kehna chaah rahi thi, par Maine uski baat ko kaattey hue poochha)
Hum : \"actually, Maine tumhe Kal bataya na Qais ke baare me, hum dono ek dusre ko chaahtey hain, kaafi waqt se hum baatien Kar rahe hain, par is baare me main tumhe bata na saki, aur bataati bhi kaise, tumne us din ke baad se mujh se baat hi nahi ki\"
(Mere paas kehne ko kuch na tha)
Hum : \"main tumhare liye Kya Kar sakta hu..? Mujhe bus itna bata do\"
Tum : \"Sameer..! Tum mere aur Qais liye mere Papa se baat Kar sakte ho..?\"
Hum : \" bhala main Kyu..?\"
Tum : \" Kyu ke tumhe mere Papa jaantey hain, aur ek tum hi ho Jo mere liye usney baat Kar sakta hai, kaho Karo ge na..?\"
...
...
...
\"Tadpaa ke mere Dil ko, poochhtey hain haal kaisa hai..?
Ba-khabar hain har dard se, jaane ye sawaal kaisa hai..?
Jinhey na dard, na ranj ho mere har ek zawaal ka,
Wo nazrein pher bhi le gar, to unsey Kya malaal hai..!\"