Sameer

\"Chaand sa hai tu\"

Bahaane dhundta hu baat karne ke tujh se,

Par jaane Kyu tu aankhein, churaata hai mujh se,

Mujh se hai shikaayat, ya koi shikwaa hai khud se,

Teri aankhon me, tere Dil ka haal dikhta hai,

tu bhi mujhe, Meri tarah behaal dikhta hai,

Tu wo chaand hai, jisko main paana nahi chaahta,

Par tujhe dekhne ka, ek bhi mauka ganwaana nahi chaahta,

Tujhe door se chaahna, manzoor hai mujhe,

Meri is chaahat pe, garoor hai mujhe,

Tujhe apne lafzon me, chhupaa Kar rakkhunga,

Apni shayari me, tujhe basaa Kar rakkhunga,
...
Chaand sa hai tu... Teri chaandni na sahi,

Main khud ko zameen, bana ke rakkhunga...