ANUJ @ POETRY

HAPPY BIRTHDAY SHWETA DIDI😁 (22December2022)

Achanak se sab Shwet se, hoti ja rhi satrangi.

Kal tak jinke man me thi, raah pe chalne ki tangi.

Is duniya ki nayab si saayen, kyun aaj hain atarangi?

Kya ye Adbhut si Shweta didi k, janmdin ka raaj hai?

 

Kal tak murjhai si thi, lagti aaj hain kli.

Jinke muskarane bhar se khushiyan, failti gali - gali.

Ab unke ho rhe hain darshan, ab vo bahar chali.

Kya ye Gudiya si Shweta didi k janmdin ka raaj hai?

 

Bahut kuch hai sikhne layak, inke vyavharik jivan se.

Bolti sach hain, bolti jo bhi, bolti saaf man se.

Aapki baatein aisi lagti jaise barf tan se.

Kya ye raajkumari si Shweta didi k janmdin ka raaj hai?

 

Ishwar kare aap hardam khush ho, hardam hansti rahe.

Aapke maa - baap dhanya hain aapse, unki aayu badhti rhe.

Par hum to chhote hain aapse bhi, hum aisa kyun bol rhe?

Kya ye Pyari si Shweta didi k janmdin ka raaj hai?