\"Akele baithe baat kar leta hoon, Beete dino ko yaad kar leta hai, Log milte hain to saath chal deta hoon, Nahi to akele chalna sikh hi diya hai tune.
Haan, khush hoon. Vo khat saamne aa jaate hain, Ab bhi, Jo mahaj ab kaagaz hai, Jinki ahmiyat thi kabhi.
Haan, khush hoon. Vaise vo vaqt kaid hai meri yaadon mein, Meri kavitao mein, meri kahaniyon mein main jab chahe use mehsoos kar sakta hoon, Magar use saath-saath joojhta hoon aansuon se, tanhai se, Us deewanepan se aur tumse.
Haan, khush hoon. Bachpan mein ishq ke kisse, Pata nahi kyun? Sunkar maza aata tha, udas hoon, unka kirdaar bankar bhi, shayad ab sab kuch samjhne laga hoon tabhi to main badalne laga hoon.
Haan, khush hoon. Tum shayad kaabil thi har uljhan se nikalne ke liye, duniya se ladne ke liye, Aur main nahi! Magar main wahi tha jab tum peeth dikhaakar chali gayi, Yaad hai haan,
khush hoon.
Main khush hoon, Kyun ki maine seekh liya hai. Khud se bhagna, Jeena... tumhe bhulana, jhooth bolna ki ab tum yaad nahi aati,
uff!
Haan, main khush hoon.