Manisha_2002

Naari Hoon Main

Naari Hoon Main Ye Pahchan Hai Meri

Maa, Beti, Bahan, Bahu

Har kirdar bakhubi nibhati hoon,

Ghar ki neev hoon main,

Khuda ki nemat hoon main....

 

Fir kyu ye Julm kiye jate hain mujhpar

Kabhi Gharelu hinsa, kabhi Chedchad, Kabhi Balatkar aur kabhi Bhrunhatya......

Jab uthau main Aavaj enke khilaaf, to apno se hi daba di jati hoon main,

Naari hu Main Insaf Chahti hoon.

 

Dheemi aavaj mai baat karna, Sar dhakna, najren jhukakar baat karna,

yahi sikhaya jata hai hame.............

Darkar ghabrakar apne aap mai hi simat jati hoon main.

 

 Par nahi ab ye sahna mujhe, Main khule aasman mai udna chahti hoon,

Main bhi Insaan hu, bekhof jeena chahti hoon.

Naari hoon Main, Azad Bharat mai Azadi chahti hoon.

 

Har bandhan har janjeer ko todkar, udne chali hoon 

Neele gagan mai napne es aasman ko,

aaye jitni badhayen, rok na payengi mujhe, Julm na sahungi, or na hi sahne dungi main,

Bekhof, bedhadak Jiyungi main, kisi se na darungi main, 

Naari hoon ye pahchan hai meri, andhkar mai Prakash felaungi main.

 

Na sona, na chandi, na heera, na moti, main Samman aur apne adhikar chahti hoon.

Es anokhi duniya mai, main bhi apna khushiyon ka jahan chahti hoon, 

NAARI HOON MAIN bas PYAR aur SAMMAN Chahti Hoon ......!