Yaad he vo rasta jo jata uske ghr se he
Jaha sukoon ke vo bazaar bhi nazar me he
Jaha rang chadhi dhoom bhi sahar se he
He goonjti gali sukoon meri kabar me he
Ye baraat se roshan hua sheher he bada
Muskurata he chand jesa ye chehra
Hai saza yahi; me wajah nhi
Jo wajah he ajj ghode pe he dekho chadha
Ye mukaan meri aankho me jami thi kabhi
Meri saaso meri baho me chupi thi yahi
Mere hotho mere gaalo pe chapi thi wahi
Me tadap ta hua to dard-e-dawa-e thi meri
Bas tadap yahi awaaz me chupi hui hai
Zinda kyu hu jab zindagi rahi nhi hai
Na aasu na hasi, ab rahi koi hai
Na paani na nadee, hari zameen koi hai
Na asmaan haseen na shaame surkh si
Na dil dhadak raha ki ye sune koi
Vo dil ajj bhi dhadakta wahi hai
Raaz kagazo me has raha koi hai
Aasu aankh me chup raha koi hai
Khule raste sab par ab raah koi he