Lheom

Wajood

\"Mujhse itna khafa-khafa kyu ho aap?\" puchne waale, samajhte kyu nehi?
Bewafai se tanng hogaye hai hum, mizaaj pehle jaisa sehma-sehma, rehta nehi

Baatein choti ho, ya phir bari
Ahsaani se chir-chir hojaate hai
Galti karna koyi buri baat nehi
Baas pehle jaisa andaaz raha nehi

\"Umar ho gayi hai shayad\" ye bhi koyi wajah huyi?
Aise thhe ki toot ke bikhar jaate, lekin kaan-o-kaan kisiko khabar nehi
Woh log jo zindegi se na haare, woh umar se har mann jayengge?
Ye baat tum sabit kardo, hum gulami tumhare ba-umar karengge!

Har shaks jo badalta hai, yunhi nehi badal jaate
Dil mein jo hai inke, log woh samajh nehi paate
Kitni dafa ek hi baat dauraye, kitni bar wohi geet gaaye?
Suna liya puri duniya ko humne shayad, par samajhne waala ek bhi dhoond na paaye.

\"Mujhse itna khafa-khafa kyu ho aap?\" puchne waale, tum kab samajhoge ye?
Na tumse, na duniya se, itminan kiya meine ke sirf khafa hai hum,
Aapni befizul wajood se.

Par ye bhi saach hai ke humne apni hisse mein kuch neki kamai hai
Heere-Moti se anmol dost miile kuch, jahan-e-khudgarz iss mehfil mein
Shukar manate hai Khuda ki hum, saabke saapne Woh puri kar de
Khushi bhi ajeeb hai meri, kamyaabi jiski bhi ho dekh ke sukoon milta hai