Lheom

Auraaq-e-Dil

Auraaq-e-dil ke panne,

Ulat rahe thhe hum akele

Ek roz kisine bola, “bahar kuch log aaye hai, aap jaake mille”

Kuch kar rahe thhe hum, issliye unko andaar bula liya

Kuch juniors aaye thhe, jinme ek thhi aisi, jisne mera nazar kaarliya

 

Woh aayi thi kuch puchne mujhe,

Baaton pe ulajhne mujhe, 

Seedhi saadhi—masumiyat waali,

Chamakti, gol—aankhein waali,

Jaise koyi sitara door ka,

Mere samne aa khara huwa!

 

Hum ulatna bhul gaaye, unke andaaz mein khogaaye

Baad mulakat—ek nayi baab ki huyi shuruwaat,

Iss nachiz ke dil pe baas gayi—pariyo ki rani, 

ek haseen, 

auraat 💘