Meera Mere

Laazmi Toh Nahi

Jise bina maange mil gaya sab,
Laazmi hai uska itraana.
Jo tarsa hai umr bhar,
Jo bhatka hai dar-dar,
Jisne ek hi dua mein jhukaya hai sar umr bhar,
Wahi jaane hai, laazmi nahi hota,
har dua ka qubool ho jaana,
aur har dafa hi sabr ka fal mil paana.