Lheom

Iqraar-e-Dil

Kuch lafzon mein kaha jata hai
Kuch aankhon se karte hai bayaan
Kuch dil se dil ki baatein hai
Kuch din aur kaise kare zayaan?

Kuch halki si shararaat hai
Kuch bholi si masumiyaat
Kuch anmol si aatishi hai
Jaise koyi khwab-e-kaynaat

Shayad behtar hai ke tum na jaano
Jaan jao, toh bhi kya haasil-e-makaam?
Shayad behtar hai tum na hi jaano
Zindegi se joojh raha hai, har koyi yahan

Paas hoke bhi jo raas na huwa
Woh shaaks, jo humara na huwa
Kaise bataaye ki kya ho aap mere liye?
Aagar hum Jaun hote, aap mere Jaana kehlate

Phirbhi,
Teri haawa talaashta hai ye dil
Khushboo hai ek, apnai si
Bolu mein chahe jo bhi zubaan
Urdu se behtaar, lagta nehi.