Lheom

Shayad

Jo baaste hai mere dil-o-dimaag par
Haal-e-dil unko hum kya sunaye?
Ye jo dilnasheen hai, jo dilruba hai
Unki taareef mein hum chaand bhi tor laaye

Khubsurat unki haasi hai,
Aankhon mein taaro ka mela
Beshaaq keh rahe hai hum janaab
Unki teekhi naazre aur mulayam haasi ka, ban chuke hain hum ghulaam.

Lambi, resham\'si, zulfewaali ladki
Toh kisiko bhi kardengge ghayaal
Hum likhke de rahe hai ye baat aapko,
Ladkiya bhi hojati hai pagaal, jab dekhlete hai Unko!

Woh ada, woh muskurahaat,
Woh baatein, woh nazakaat,
Woh peshkash, woh hich-kichahaat
Woh lamhe, aur un lamho mein unke saath hum,
khuda ka likha--ek aisa kismaat!

Aapse mohabbat hai, aapse hai ishq
Aapse pyaar bhi, aur aapse hi hai zindegi
Afsos sirf yehi hai, shayad hum aapke liye bane nehi
Lekin Allah kare aapke sivaay, humare liye duja koyi na bane, kabhi.