Main tumhe yaad aaunga,
Humari Baaton me, humari mulakaaton me,
Main tumhe yaad aaunga...
Ek din hum nahi honge saath, bus kuch der ki hai ye raat, par ye raat main bhool na paaunga, main tumhe yaad aaunga...
Wo chhoti chhoti raatein, wo lambi lambi baatien, main Dil me tere Ghar Kar jaunga, main tumhe yaad aaunga...
Kuch tha humaare beech, aaj bhi hai, aur rahe ga har pal saath, main ehsaason me tera saath nibhaaunga,
Main tumhe yaad aaunga...
Kuch an-kahi Baatein, wo chori chori mulakaatein, wo tera saath chalna, baithna, muskurana, ye soch Kar main khil jaunga,
Main tumhe yaad aaunga...
Tumhara chup rehna, tumahra nazrein churaana bhi, phir muskurana bhi, na bhool paaunga,
Main tumhe yaad aaunga...
Maine sadaa hi kaha ki aayina hu main, kab ban gaye tum mera aayina, ye kabhi samajh na paunga,
Main tumhe yaad aaunga...
Kuch kehna tha tum se, par keh na paaunga, kuch karna tha mujhe, khair Kar na paaunga, bus
Main tumhe yaad aaunga...
Na honge hum, na honge tum, par khayalon me tumhe main nazar aaunga,
Main tumhe yaad aaunga...
Ek din nahi, ek ghadi hi sahi, Kaash ho jaatey tum mere, le kar ye armaan main Chala jaaunga,
Main tumhe yaad aaunga...
Kabhi jo mile kahi, kisi mod par hum, Dil me Khushi, honthon pe hansi, aur aankhon me nami aa jayegi,
Ye meri pyaari dost, mujhe...
Mujhe yaad aayegi...
- Author: Sameer ( Offline)
- Published: April 17th, 2022 16:43
- Comment from author about the poem: Words are insufficient to explain the emotions
- Category: Friendship
- Views: 20
Comments2
डबल डच टू मोस्ट
मी संध्याकाळशी पूर्णपणे सहमत आहे.
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.