Yaad ki tarha...

Sameer

Mile wo kisi mod par, koi khaab ki tarha,
Goya mil gaya sehra me, koi baag ki tarha...
kho gaye ek dujey me, kayi jaam ki tarha,
Ki toofaan me mile madhosh, barsaat ki tarha...
Jo khair bhi na ho, aur aabaad bhi na hon, jaley hain andheron me, kisi raakh ki tarha,
Jo kar na sakey poore, khaab hue wo tum,
Jo mil saka Dil ko, us sairaab ki tarha...
Ab to khatm hua silsilaa, bus anjaam ka hai darr, hue dafn bhi armaan, kisi laash ki tarha...
Ranj ye to nahi, ki umr bhar Ka ho to Kya,
Gam is baat ka ki, reh jaao ge bus ek yaad ki tarha...

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: April 23rd, 2022 15:09
  • Category: Unclassified
  • Views: 14
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.