"Wo lagta hai mujhe ek khaab ki tarha,
Khiltaa haseeen ek gulaab ki tarha...
Unki adaa me hai nazaakat,
Kisi nadi ki behti, dhaar ki tarha...
Patjhad se nikli wo, pehli bahaar ki tarha...
Unke chale jaane se,
bus jaati hai ek khalaa mujh me,
Unke aa jaane se,
Aa jata hai mujh me, khumaar ki tarha...
Unki maujoodgi bhula deti hai, rasoob mera,
Main kaun hu? Hai Kya wajood mera?
Be-manzil, bhataktey kisi janaab ki tarha...
Wo lagta hai mujhe ek khaab ki tarha,
Khiltaa haseeen ek gulaab ki tarha..."
- Author: Sameer ( Offline)
- Published: April 30th, 2022 05:51
- Category: Letter
- Views: 17
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.