"Ek pyar aisa bhi"

Sameer

Ek khoobsurat parinda, Kahi khoobsurat baag me kisi ped par chehchahaa Raha tha,
Uski boli, uski surili aawaaz, uska andaaz mujhe be had bha gaya, phir mujh se raha na gaya aur main usey pakad Kar apne saath le aaya,
Main bohat khush tha, ke ye khoobsurat, be had meethi aawaaz wala, ab wo mera ho gaya,
Usey Maine apne Dil ke pinjrey ke qaid Kar liya,
Wo mere paas kayi arsey tak raha,
Par phir wo meethi aawaaz kahi gum ho gayi, uske chehchahaane me wo mithaas na thi, uski aawaaz me wo kashish na thi, mujhe ehsaas hua ke wo aawaaz dard ki thi, Jo maine usey diya hai, usey is Dil ke pinjrey me qaid Kar ke...
...
Ye dekh Kar mujh se raha na gaya, maine apne Dil ka pinjra khola aur usey aazaad Kar diya, wo bina rukey, us pinjrey se ud gaya, jaise wo Dil kabhi uska tha hi nahi, jaise main uske liye kabhi kuch tha hi nahi, phir wo kabhi laut Kar naa aaya, na is Dil ke pinjrey me, naa us khoobsurat baag me...
...
Ek baat samajh aayi, jab koi acha lage, ya kisi me kuch bhaa jaye, to usey qaid Kar lene se wo apna nahi ho jata, kisi ko apna keh dene se wo apna nahi ho jata, kisi ko paa lene se wo apna nahi ho jata...
...
Kisi ko pasand karne se kisi ki pasand ho Jana zyada zaruri hota hai, Kisi ko paa lene se kisi ko Jeet lena zyada zaruri hota hai, kisi ko apna bana lene se kisi ka ho jaana zyada zaruri hota hai...
...
kisi ko qaid Kar ke kho dene se acha usey aazaad rehne do, usey khil Kar chehchaane do, usey masti ke gun gungunaane do, aur aap us pal ko jee lo...
...
Pyaar ki ek nayi paribhaasha hai, gar  samajh aa jaaye, to Kya hi niraasha hai...

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: May 20th, 2022 16:11
  • Category: Short story
  • Views: 9
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.