"Naam Kar do"

Sameer

 

Thokar to bohat khaa li, Marham ka kaam Kar do,
Ki Meri jaan ke badley, Dil mere naam Kar do...

Ek arsaa Jala hu ishq me, bus raakh hi hai baaki,
Majnu ban gaya hu, ek patthar hi naam Kar do...

Mere shauk me nahi hai, aawaargi aye saaki,
Madhosh main reh jaaun, koi jaam naam Kar do...

Ek aur gumshudaa hai, mohabbat ki raah par,
Ki raah na sahi, manzil hi naam Kar do...

Meri aakhri hai khaahish, Marne ki mod par,
Deewangi hai teri, humein khud ke naam Kar do...

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: May 21st, 2022 15:47
  • Comment from author about the poem: Anonymous poem
  • Category: Letter
  • Views: 7
Get a free collection of Classic Poetry and subscribe to My Poetic Side ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors Weekly news



To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.