"Daastaan"

Sameer

(Part -1)
...
Hum : "Suno kuch kehna tha tum se" (ek ajab si Khushi aur ghabraahat mere chehre par thi)
Tum : "kya kehna hai..?"
Hum : "main tumhe wo baat batana chahta hu Jo main bohat waqt se tum se kehna chahta tha par main keh na saka kabhi"
Tum : "Kya baat..?"
Hum : "main..."
Tum : "Hmmm..."
Hum : " wo main ye kehna chahta tha ke, main tumhe chaahta hu, aur tumhare sath waqt bitana acha lagta hai, ek apnapan sa lagta hai, ek Khushi ka ehsaas hota hai."
Tum : "acha..!" (Nazrein jhuka ke kuch der khamoshi me)
Hum : "Kya hua..? Tumne kuch kaha nahi."
Hum : "kuch kaho to sahi..!" (Ek bechaini ke sath)
Tum : " Kya kahoon..?"
Hum : "main tumhe chahta hu, be-had."
Tum : " ye kab hua..?"
Hum : " kab hua, pata nahi, ho gaya hai tumse" ( mere hothon pe halki muskurahat aur aankhon me chamak thi)
Tum : (apni nazron ko churaatey hue)
Hum : " kuch kaho gi nahi..?"
Tum : " kuch samajh nahi aa Raha, Kya kahoon."
Hum : "Jo tumhe thik lage, maine tumhe kabhi kuch kehne se roka hai bhala."
Tum : "nahi roka par..."
Hum : "par Kya..?" (Meri bechaini badhne lagi, Dil ki dhadkan jaise mere kaanon ko sunaayi de rahi thi)
Tum : " Maine tumhe kabhi us nazar se dekha nahi." (Parshani uske chehre par saaf jhalak rahi thi)
Hum : " par..!"
Tum : " tum mere ache dost ho."
Hum : (meri ankhon ki chamak jaati rahi, jaise bijli ki chamak ke baad barsaat ho jati hai aur sailaab sa aa jata hai, bus wahi sailaab ab Meri aankhon me utar aaya tha, par na lab kuch keh sakey aur na aankhein beh saki)
Tum : "Maine tumhe humesha apna acha dost maana hai, tum ek ache inssan ho, tumhare sath waqt acha guzarta hai, par mere liye ye dosti se zyada aur kuch nahi."
Hum : ( uskey ye alfaaz mujhe aise chhubney lage, jaise kisi ne mere seeney me khanjar utar diya ho, ab bus jaan nikalne ko thi)
Tum : " dekho meri baaton ka bura mat manna par Maine tumhe kabhi us nazar se dekha hi nahi" ( uski pareshani ab dukh me badal gayi thi, usne apni nazron ko jhuka liya tha)
...
(Kuch der ki khaamoshi hum dono ke beech aa Kar thehar gayi thi, na wo kuch kehti, na mere zubaan kuch bol paatey)
...
(Ek pal ke liye uski pareshan aankhein jaise meri namm aankhon se maafi maangti hui phir neeche ki or hui)
...
(Ek aur lamhaa beeta hi tha ke, bina mujh se nazrein milaaye, mere tootey Dil aur mujhe chhod, wo palat Kar laut gayi)
...
(Aur main apne kaanptey jism ke saath kisi buth ki tarha wahi khada Raha, na kuch keh paya, na usey rok paaya.)
...
...
(Lamha lamha kar arsa beet gaya, na usne mujh se baat ki, na mere call ka jawaab diya, aur na hi kabhi mere tootey hue Dil ka haal poocha, Jo kabhi mere sath hua karti thi, mere sath chalti thi, utthti thi, baithti thi, hansti thi, gaati thi, ab usney mera saath chhod diya tha, aur main apne zakhmon ko seeney me laga raha, par waqt ke saath zakhm aur naasoor hotey gaye, dard aur badhta gaya, mere aankhon ka sailaab saarey baandh tod Chuka tha, usey rok paana mushkil ho gaya tha, main apne dard ke saath aansuon ke ghoot peeta raha. )
...
( Ek subah kisi raah)
Tum :" arey tum yaha Kya Kar rahe ho..?" (Usney muskuratey hue mujh se poochha)
(kuch der ke liye jaise meri duniya ruk si gayi thi, na zubaan se uske sawal ka jawab nikla aur na hi mere jamey hue qadam kahi badh paaye)
Tum : " kaise ho, Kya chal raha hai..?
 (Uske chehre par phir se muskurahat aa gayi thi)
Hum : "thik hu, tum kaisi ho..?"
Tum : " haan main thik hu" " bohat dino baad mulaakaat hue tumse"
Hum : " Hmmmm..."
Tum : " us din ke liye maafi chahti hu main, mujhe us tarah se jaana nahi chahiye tha, par achanak tumne wo sab keh diya, mujhe kuch samajh na aaya, ke Kya kahu aur Kya nahi."
(Main bus uski baatein sunta Raha, mere labon se ek lafz bhi na nikal sakey)
Tum : " Kya tum mujh se naraaz ho..?"
(Kuch der khaamoshi ke baad maine apna sir naa me hilaatey hue kaha)
Tum : "okay to phir milte hain" (keh Kar wo chali gayi)
...
( Kuch der mere pairon ne zameen na chhoda, phir aahista se kuch qadam, aur main apni raah chal pada)
...
( Puraani yaadon ke beech, samandar kinaare main bus un lehron ko dekhta raha, Jo ek Josh ke saath uth Kar aati aur kinaare un pattharon se takra Kar bikhar jaati.)
...
(In lehron me maine khud ko paaya, jaise ye main hi tha, Jo apne ehsaas ko liye aage badh raha tha, aur jab usey kisi ko sonpna chaaha to khud ko bikhra hua paaya)
...
(Par un lehron ne ek baat sikhaa di, ke kisi patthar se takra Kar hum kuch der ke liye bikhar zarur jaate hain, par ye aur baat hai ke ek aur nayi lehar ke saath hum dobaara unhi pattharon se takraane laut aate hain.)
...
(Ek halki si muskaan mere chehre par thi, aur mere haath un pattharon par, in lehron ne mere zakhmon pe jaise marham laga diya tha, dard kuch Kam ho gaya tha, aankhon se dard bharey wo aakhri aansoo aur phir kabhi unsey mulakaat na hui.)
...
"Idhar aa sitamgar, hum hunar aazmaayein,
tu teer aazmaa le, hum jigar aazmaayein..."

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: May 25th, 2022 06:09
  • Category: Short story
  • Views: 8
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.