"Daastaan" -2

Sameer

 

Part -2 

(Tring... Tring... Tring... Tring...)
(Main apne kuch beetein palon ki sair pe nikal gaya tha, mujhe hosh na tha ke wo mujhe pukaar raha hai, wo mera phone, aur main apne khayalon me kahi gum tha, hawaaon ne apna rukh modaa aur main apne sunehrey khayalon se laut ayaa tha)
(Mere phone ki wo aakhri ring thi, aur mere khayalon ke Safar ka anjaam)
(Safar se laut Kar Maine apna phone uthaya, 'Miscall, Muskaan')
(Bhala ye mujhe kyu phone karne lagi, us aakhri mulaakaat ke baad isne kabhi, mera na mere tootey Dil ka haal poocha, aur ek arsey ke baad isne mujhe phone Kyu Kiya?)
(Abhi main is khayal se nikla hi tha ke, Tring... Tring... Ki aawaaz mere kaanon me aur uska naam mere Dil se nikal Kar mere mobile screen par tha)
Tum : "hello..!" (Udhar se aawaaz aayi, uski aawaaz me ek ghabraahat si jhalak rahi thi, shayad wo ab bhi mere Dil ke qareeb thi, isliye maine uske is ehsaas ko mehsoos kiya)
Tum : "hello, Sameer..?"
(Ussey bichhad Kar mere lab aur mere jazbaat jaise gungey se ho gaye the, na labon pe alfaz the aur na Dil me jazbaat, jaise ab iski aadat si ho gayi thi mujhe, chup rehne ki)
Tum : " Hello, Sameer Kya tum ho..?"
Hum : " hello, haan kaho..!" 
( Apni aadat ke khilaaf, maine jawaab diya)
Tum : "mujhe Tum se milna hai, Kya tum mujhse Milne aa saktey ho..?" 
(Uska ye kehna mujhe beetey pal me le gaya, jab hum saath hua karte the, ek dusre ke paas hua karte the, haalanki wo rishta bus dosti ka tha, par us dosti ke saath bhi wo mere be-had qareeb thi, aur main uske ek baar bulaane par bus dauda Chala aata tha, par na-jaane Kyu is baar uske bulaane par mere Mann ne jaise thaan li ho, na jaane ki)
Tum : " hello, Sameer suno aao ge na..?"
Hum : "Thik hai"
( Mere Dil ne koi ijaazat na di, par na jaane Kyu mere labon ne haan keh diya tha)
Tum : "Thik hai, hum aaj ki shaam miltey hain"
(Ye keh Kar usne phone rakh diya)
(Mera phone ab bhi wahi tha, jaise mere kaan kuch aur sunney ki taak me the, Jo wo kabhi sun na sakey, unhey ab bhi uski aawaaz utni hi pyari thi, jitni pehle)
(Maine apna haath neeche kiya, aur is soch me pad gaya ke aaakhir aisi Kya baat ho gayi ke usey meri zarurat pad gayi..?)
( Is sawaal ka jawaab dhundtey dhundtey shaam ho chuki thi, aur main khud ko ussey milaane le ja raha tha)
Tum : "Hi..!"
Hum : "Hi..!"
(Itni si baat ke saath, hum dono khaamosh the, ki ek tez Hawa ka jhonka kahin se uske baalon ki laton ko udaa gaya, mujhe phir se mere beetey palon me le gaya, Jin udti laton ko dekh kabhi mera Dil bhi khil uthta tha, aur hontho pe muskaan aa jaati thi, aaj wo latein udi zarur thi, par na hi Dil ko kuch ehsaan tha na kahi koi muskaan)
Tum : " Maine tumhe isliye bulaya hai, ki mujhe Tum se kuch zaruri baat Karni thi."
(Bhala mere liye iske pass aisa Kya tha Jo itna zaroori tha..? Main isi soch me gum ho gaya)
Tum : " Kya tum Meri ek help Kar saktey ho..?"
(Usne apne sir ko ek taraf halka sa jhukatey hue kaha, uske chehre par ek pareshani bhi thi aur honthon par muskaan bhi)
Hum :" aakhir hua Kya..?"
(Main bhi aakhir poochh baitha)
Tum : "tumhe mere saath kahi chalna hai."
(Uske honthon par muskaan aur badhi, aur uske chehre ki pareshani ab mere chahre par aa gayi thi)
(Main to apni poori Zindagi uske saath chalna chaahta tha, par aisa ho na saka, aur wo khud mujhe apne saath kahi le jana chahti thi, main pareshan tha ke Kya Kiya jaaye..?)
Hum : " kahaan..?"
(Maine taajjub bhare andaaz me poocha)
Tum : "main tumhe poori baat batati hun, aao mere saath."
(Ye keh Kar usne mera haath pakad liya, uska haath pakadna hi tha ke jaise mere Dil ko kisi ne jhinjhod Kar rakh diya ho, jaise us ne mere sotey ehsaas ko chhoo kar jagaa diya ho, uske peechhe har ek qadam ke saath mere Dil ki dhadkan aur tez hoti gayi)
...

...

"Adhurey khaab chhipaaye baithe the, khayalon ke Andhero me kahi, na jaane wo kaha se ummeed Jala baithey,
Tootey jazbaat dabaaye baithey the, Dil ke konon me kahi, na jaane wo kaha se marham laga baithey"

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: May 26th, 2022 00:12
  • Category: Short story
  • Views: 7
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.