Jarurat se jyada tumhari jarurat thi,
par tum nahi the...
Jarurat se jyada intejaar kie the,
Par tum nahi the...
Jarurat se jyada mohabbat kie the,
par tum nahi the....
Jarurat se jyada parwah karte the,
Par tum nahi the...
Jaruratse jyada waqt tha par bas tumhara,
Par tum nahi the...
Jarurat se jyada tumhare rang me rang chuke the,
Par tum nahi the....
Jarurat se jyada tumpe bharosa kia tha,
Par tum nahi the...
Jarurat se jyada age badh chuke the,
Par tum nahi the....
Jarurat se jyada tum pe mar mite the,
Par tum nahi the...
Jarurat se jyada chahat the tum mere,
Sayad hum nahi the tumhare....
Khwaish thi itni bas khojaen bhulake khudko ;hoke tumhare...
Par tum nahi the humare....
Fark bas itni he ki, hum hochuke hein tumhare,
Phir v na hopaye tumhare.........
- Author: Sonia@My Thoughts MY Feelings (Pseudonym) ( Offline)
- Published: June 28th, 2022 08:24
- Comment from author about the poem: Jaruart se jyada sayd kuchh v achha nahi... Warna badnaam kardete hein log ... Jarurat se jyada .....sab dia... Aj khudko bhugae hein hum..............
- Category: Unclassified
- Views: 5
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.