...
Pani ki boondein,
Kuch gharon me,
Kuch galiyaaron me,
Kuch behti raahon me...
...
Yaadon ki barsaat,
Kuch zehan me,
Kuch palkon me,
Kuch Dil me...
...
Koi ho gaya bohat khaas,
Kuch hi baaton me,
Kuch hi mulakaaton me,
Kuch hi yaadon me...
...
Chubhta hai mujhe,
Tera Paas aana,
phir door chale jana,
Be-intehaa yaad aanaa...
...
Kuch to baat hai,
Tujh me,
Teri muskaan me,
Teri baaton me...
...
khwaahish rahi hai,
Ek Tumhe paane ki,
Ek Tumhara ho jaane ki,
Ek Zindagi sang bitaane ki...
...
Par adhurey rahenge,
Kuch sapne,
Kuch chaahatein,
Kuch khwahishein...
...
- Author: Sameer ( Offline)
- Published: July 5th, 2022 20:00
- Category: Letter
- Views: 15
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.