"Teri chaahat me nahi main..."

Sameer

Ek shaam jo guzri, main khud ko ulajhata Chala gaya,

Guzarti shaam se, main khud bhi guzarta Chala gaya,

Khud ko khud se, main Yun bhulata Chala gaya,

Ek aur bhi ghadi thi, kisi lamhe ke mod par,

Tum yaad bhi hue, jo main bhulata Chala gaya...

Main kis qadar uljhan me hu, hai ye sawal bhi mushkil,

Sambhal le koi, hai ye khayal bhi mushkil,

Main khud se khud ko, behlaata chala gaya,

Teri chaahat me nahi main, ye khud ko samjhata Chala gaya...

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: July 8th, 2022 02:06
  • Category: Letter
  • Views: 10
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.