"Bohat din ho gaye"

Sameer

...

Bohat din ho gaye...

 

Kuch alfaaz sajaatey hue,

Kuch armaan bataate hue,

Kuch khwahish jataate hue,

Bohat din ho gaye...

Unse qadmon ko milaaye hue,

Unke hathon ko thaamey hue,

Unko raahon me behlaatey hue,

Bohat din ho gaye...

Unki aankhon me jhaankey hue,

Unki saanson me saansein mile,

Mere kandhey ko sirhaaney hue,

Bohat din ho gaye...

Unse baatein banatey hue,

Unki raatein churaatey hue,

Unke sapne sajaatey hue,

Bohat din ho gaye...

Unke honthon ko choomey hue,

Unke baalon me ghoomey hue,

Unki baanhon me jhoomey hue,

Bohat din ho gaye...

Bohat din ho gaye...

...

Doori jo chubhti hai unsey,

Ki Main keh nahi sakta,

Ye jaantey hai wo bhi,

Ki main reh nahi sakta,

Kyu hai is qadar mohabbat,

Ye jaan bhi na paau,

Wo aakhir me mere nahi,

Ye Maan bhi na paau,

Ye Dillagi nahi chaar din ki meri,

Samaaye,

Dil o dhadkan me unhey,

Bohat din ho gaye...

Bohat din ho gaye...

...

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: October 4th, 2022 01:25
  • Category: Letter
  • Views: 18
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.