"humsafar"

Sameer

 

...

Kuch dard bhi hai, kuch faqr bhi hai,

Shukr hai, tere jaisa humsafar bhi hai,

Armano se ladna , tujh se seekhe koi,

Mushkilein taal de, tu aisa humnazar bhi hai...

Tera hona bhi meri mushkilon ko kar deta hai aasaan,

Tere paas hone se, milta dil ko hai aaram,

Tere chehre ki nazar, milta sukoon-o-chain bhi hai,

Tujhe talaashe hai khwaabon me, be-chain mere nain bhi hai...

Kya kahu ke, kyu Chubhta hai seene me kahi,

Mera ho kar bhi mera nahi, ye khabar bhi sahi,

Kyu kar ho dawa, ke aise jeena bhi nahi,

Kya kahu, ki Tu dard bhi, aur mera, marham bhi hai...

...

 

  • Author: Sameer (Offline Offline)
  • Published: January 16th, 2023 22:27
  • Category: Letter
  • Views: 21
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors


Comments +

Comments2



To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.