Shikwa By Anjum Lucknowi

Anjum Lucknowi

Teri rahamat ko na kyun De Diye Parnam dhundhe

Hai Jise Teri Zarurat Vahi perham dhundhe

Phool Ko Gulshan Hasti mein bhi Shabnam dhundhe

Khuld Aadam ko Kabhi Khuld dukkho Aadam dhundhe

 

Shiwa e abd bhi son kar tera parda na huta.

Teri marzi tu mujhe jalwa dikha ya na dikh.

 

Talib e madh tha ab talib shikwa mein hoon

Jo hai darya ka talab gar woh qatra mein hoon

Tu hai mabud mera aur tera banda mein hoon

Malike husn hai tu ishq ka jalwa mein hoon

 

Apne ashiq ko mohabat ki saza kis ne de

Bar sardar ana al-haq ki sadh kis ne de

 

Musht bar khak se aur hastey e adam ka wajood

Main ne mana ye tari kar-gari hai mabud

Aur fariste pase adam bhi huwe sar'ba' sujood

Hain use nasal se kyun kar ye musalamon hunood

 

Kuch nasara hain nisara bhi hain Isa e Bhi

Juz mare marte hain kya tari pazirai bhi

 

Taree Kalme ka bhi Elaan kiya hai ham ne

Kitni comma ko Musalman Kiya Hai Humne

Qariya qariya Tujhe Jeeshan Kiya Hai Humne

Marhala sakht tha aasan Kiya Hai Humne

 

Ham Agar Haq Hain To Arsh Se Awaaz To De.

Yah Bulale Hamen Aur Quwat e Parwaz To De.

 

Naam Masjid Hai Tera Ghar Jo Bana Rakha Hai

Fars Ismat Ko Bhi Sajdo Se Saja Rakha Hai

Yaad Mein ne bhi tujhe waqt Duw Rakha Hai

Par Duaon Mein Asar Tune Bhi Kiya Rakha Hai

 

Jeene Wale Ko Dua deta hun Mar jata hai.

Mere Iman ka sheeraza bikhar jata hai.

 

Mein Tere Naam Ki Tasbih Kiya karta Hoon.

Sajde Shukr Basd Shoq Ada Karta Hoon.

Mein Bhar Hal Tujhe Razi Raza Karta Hoon

Baksh De Meri Khatha ye Duw Karta Hoon.

 

Tu Agar Hai To Amal Ki Meri Taeed Bhi Kar

Jari Mare Liye To Chame Taheed Bhi Kar

 

Lamakan Tu Hai Haram Asal Tera Ghar Bhi Nahi.

Woh Kalisa Bhi Nahi Masjido Madar Bhi Nahi.

Tera Rehne Ki Jagah Ye Dil Mustar Bhi Nahi.

Noor Jab Tu Hai Tera Pher Koi Hamsar Bhi Nahi.

 

Chand Samjoon Tujhe Suraj Ya Sitara Samjoon

Koi Paicha Bata Kuch To Ashara Samjoon

 

Haq Tujhe Maan Liya Khudh Hai Abid Bankar

bandagi Ki Hai Tari Waqaye Zahid Bankar

Dawate baa,nti Tera Din Ka Qasid Bankar

Jo Mukhalif Huwa la.de BaiThe Mujhaid Bankar

 

Har jagah parchan e toheed ko gadha Kisne

Ba Khibar Ko Do Aungli Se Ukhaa.d Kisne

 

Naam Zinda Rahe Tara Ke uThaa.ii uftaad

Sab sunaa.ii Tu sunaa.ii tujhe apni rudhat

TeG Batil se nihatthaa ladha Ban kar Faulad

Mud ke na dekhnaa kabhii Ghar Ki Taraf Waqt jihaad

 

Fauj Aa'daa Na Rahi Jung Ke Manzar Badle

Meri Thokar Se hee patthar ke muqaddar badle

 

Main Ne Kirdaar Zamaane Ka Palte Dekha

Tera phaila Huwa Islam Seematti Dekha

Tune Kab Jung Mein Mujhe Piichhe Hatte Dekha….

Kat Gaya Mera Gala Tune Bhi Katte Dekha..

 

Asmaa Meri Dua.n Se Kahin Dur Na Tha..

Ran Mein Majboor Tha Mein Tu Koi Majboor Na Tha..

 

Tara Adna Sa Karlishma Hain Sabhi Shajar-o-Hajar

Tu Ne Paida Kiye Darya.o Mein Bhi Lal O Gohar

Itni Fursat Bhi Na De Dekhta Sare Manzar

Mujhko Dodhta Raha Hath Mein Parcham De Kar

 

Tare Islam Ki Tabligh Mare Dam Se Huwi

Teri Dunya Ki Bhi Shuruaat Bhi Aadm Se Huwi

 

Latto Uuzza o Hubal Ka To Ba.daa Lashkar Tha

Gaasibaana Jahan Qabza Tha Woh Tera Ghar Tha

Jab Khudai Tha Tab Bhi Khuda Patthar Tha

Goya Takhliiq Bata Ke Liye Ak Azar Tha

 

Ham ne tufaan Nahusat Ki Ravish Modii Hai

Yani Pathar Ke Khuda O Ki Kamar Todi Hai

 

Tara Mahboob Na Hota To Tera Kya Hota

Bandagi Ka Teri Har Mod Pa Sajda Hota

Tujhko Sajda Nahi Phir Ghair Ko Sajda Hota

Kisa Lagta Tujhe Mein Kahta Jo Acha Hota

 

Sun Ke Ya Baat Mari Tujhko Jalal Aajata

Tujhko Mohbook Ka Us Waqt Khayal Aajata

 

Faaqa Karte Hai Hain Musalman Shikam Ser Hunud

Shukar Karte Hain Ada ، Phir Bhi Tera Sar Ba Sujud

Kiyn Nahi Dekhta Jab Har-Jagah Tu Hai Maujod

Tujhe Ko Parwa Nahi Hai Mari Shayad Majood

 

Tu Hai Razaq Tu Huee Sabko Ghiza Deta Hai

Phir Mujhe Kise Liya Tu Bhuukaa Sula Deta Hai

 

Zahin Qasar Hai Ke Mein Kise Gunagar Huwa

Tari Rahmat Ka Bhr Kaif Talbgar Huwa

Phir Bhi Na Ksi Mod pa Didar Huwa

Main Tawalud Huwa Dunya Mein Ye Bekar Huwa

 

Tu Hai Mabood To Bande Se Judai Kisi

Jo Mere Kaam Na Aye Woh Khudai Kise

 

Kiya Sitam Hai Tera Phile Mujhe Janat Daydi

Mein Ne Magi Na They Khud Apni Khilafat Daydi

Anpi ma.n manee jo chahi woh wasiyat Daydi

Aur Phir Khuld Badar Ho Ye Ijazat Daydi

 

Mujhko Dunya Mein bhatkane Liye Chhod Diya

Tu ne ek Mitti ke Insan Ka Dil Tod Diya

 

Jab mitana hi tha Kyon Mujhko Banaya tune.

Kyun Farishto Se Mera Sajda Karaya tune.

Kyun Balndi Pa Bitha Kar Yon Garaya Tune

Kise Ahsan Tera Jo Ke Jataya Tune

 

Aye Khuda Tu Hi bata kya ye Teri marzi hai

Yah Jo Marji Hai Teri ismein bhi khudgarji hai.

 

Teri Dharti Ham Magar Surat Dhaqka Ham Hain 

Ek Ak Dana Dan Gandum ke Nigahen Ham Hai.

Zinatne Guncha Wah Gul Bhi Hai Gulista Ham Hai.

Teri Dunya Ki Sajawat ke bhi Samaan Ham Hai.

 

Imtihan Firbhi Hamse Tera Mansha Kya Hai.

Tari Rahmant Ne Gunagar Ko Samjha Kya Hai

 

Ham Se Phile Tere Aalam Ke Ajab Alam They

Musht Bhar Khak They Na Koi Adam They

Jab Koi Karagari Teri Wahan Par Ham They

Kya Ibadat Ke Liya Tari Malayak Kam They

 

Humko bewajah Banaya Koi Ehsan Nahin

Ham se pahle Teri Koi Bhi pahchan Nahin

 

Mere Amal Bhale aur Bure Tune Kiye

Kam Zeba jo hain, Tujhko Woh Tune Kiye

Zakhm Masi ke The Dil Mein Jo Hare Tune Kiye

Dard Ehsaas Mere Khote Khare tune Ki Kiye

 

Tari Marzi Mein Jo Aye, Wahi Tu Karta Hai

Phool Se Rang Juda Aur Kabhi Bu Karta Hai

 

Tatti Shahar Pa Agar, Adiya Ragdi Ham Ne

Piyas Piyaso Ki Bujhai Hai Ausi Zam Zam Ne

Bilwaqi Husne Amal Dekhe Liya Alam Ne

Laj Adam Ki Bacha Rakhi Hai Ek Adam Ne

 

Tu Agar Chahta Kaushal Bhi Pila Sakta Tha

Tashna Lab Ko Lab Kausar Bhi Bula Sakta Tha

 

Masjide Aqsa Par Qabiz Hai uduu-e-Islam

Jung Ham Kart Hain Tu Karta Hai Ham Ko Na Kam

Yani Maqsad Hai Tera Ham Rahain Ho Kar Badnam

Ab Nahi Chalta Kahen Naa'ra Taqbeer Se Kaam

 

Ye Bata Keb Tari Rahmat Bhala Sath Ayegi

Masjide Aqsa Palestine Ke Hath Ayegi

 

Ya Sadqat Hai Tari Naam Pa Eman Rakha

Taq Dil Par Tari Akhlas Ka Qura.n Rakha

Tujh Ko Mamaduh Kaha Dil Ko Sana Khanw Rakhaa

Bazm Azmat mein Tera zikar Chiragha Rakhaa

 

Is Mashiqat Ke Ivaz Tune Mujhe Khar Kiya

Ye Khata Mujh Se Hoyi Mein Ne Tujhe Piyar Kiya

 

Jurm Kya Hai Mera Mashsaar Jo Bapa Hona Hai

Itna Maloom Hai Bande Ko Saza Hona Hai

Tujh Se Kya Samjhota, Bhi Kya Tujhe Se Juda Hona Hai

Tu Khafa Hoja Agar Tujhe Ko Khafa Hona 

 

Jin-o-Insan Mely Dozakh Mein Jalane Kaliye

Baqi Har Shay Hai Kya Janat Mein Sajhe Keliye

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

  • Author: Anjum Lucknowi (Offline Offline)
  • Published: February 10th, 2023 14:31
  • Category: Religion
  • Views: 17
Get a free collection of Classic Poetry and subscribe to My Poetic Side ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors Weekly news



To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.