haadsey bol kar nahi hotey
"Taash ke mehal si ye zindagi ek pal me bikhar jaati hai, aur apne saath kayi aur zindagiyon ko udhed kar rakh deti hai, har pal ek sui si chubhne lagti hai, dil me, zehan me, jism me.
Waqt se ladna aasaan hai, Haalaat se nahi, kisi gair se ladna aasaan hai, apno se nahi.
Alfaazon se khelte khelte kab zindagiyon se khelne laga, pata hi nahi chala
Kuch vaadon k liye kuch vaadey todne hote hai, phir chaahe wo aapko kayi tukdo me kyu na baant de
Aap sab kuch chhod kar jana bhi chaaho par wo bhi karna utna hi mushkil hai jitna, teer ka seene se nikalna
Jab hum apni hi galatiyon aur khwahisho ke beech piss jaate hai, to zindagi se bus ek hi khwahish reh jaati hai 🙏🏻
.
.
Khair
In sab ke saath bhi
Zindagi hum sab ko ek mauka deti hai.
- Author: Sameer ( Offline)
- Published: March 31st, 2023 05:55
- Category: Unclassified
- Views: 17
Comments1
Waqt saare zakam bhar deta hai , samy lagta hai bas. Zindagi se Haar manna asan hai, usske diye muke ke sath jeena mushkil, ab jo mushkil rah chuni hai to haar manne ka ikhtiar hi nai .
Lafzo se khelna chhod diya hai, dekhte hai waqt kaha le jata hai
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.