Jazbaat

hydrating

Jazbaat,
Kya likhu me khat, tum padhna nahi chahte,
Kya karu me baya, tum sunna nahi chahte,
Asman gum kar raha meri uss dastaan pr,
Jis dastaan ka kirdaar tum banna nahi chahte.

Gapshap ki wo jagha aaj bhi khali si hai,
Waqt e magrib ki tumahari baate aaj bhi baki si hai,
Wo shame jo hum sath guzarte the,
Unn shamo ki mannat aaj bhi humne mani si hai.
Tumare mathe ko aaj bhi hum apne sine pr mehsoos karte hai,
Humare jazbaat hume bewafa, tumse baat karne pr majboor karte hai.

Chand, khandar, asman, zamin, kinara, samandar aur kya kya bann gaya,
E khuda kyu tere fitoor pr sif iskq mar gaya.
Mera jazbaat, dil, yakin sab kuch toot gaya,
Ba khuda ye mohobbat me mera sab kuch loot gaya,
Kya dard hi anjam hai har ishq ka bta do,
Me marr chuka hu, koi jahannam ka rasta bta do.

Likhe huve alfaze jala diye gye,
Mohobbat se dushmani me alam ne rishte bhula diye gye,
Kitni kurbaniya hui hai aaj tak pta nahi,
Ishq tere liye na jane kitne ashiq mita diye gye.

  • Author: hydrating (Offline Offline)
  • Published: July 14th, 2023 15:02
  • Category: Love
  • Views: 2
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.