Darkness

hydrating

Darkness,
Tum aur me kisi kinare pr baithe the,
Baate karte karte tumhare haath mere haath pr baithe the,
Gajab tha nazara wo waqt e magrib ka,
Jab chand or sitare aftab dhalne ki firaq me baithe the.

Tum achnak nikharte shams ko dekhti ho,
Aur maan hi maan me kuch to sochti ho,
Ek pal baad mujhe mehsoos hojata hai,
Ki humare rishte ki duniya se chal rahi jungme tum shaheed hogyi ho.

Sham khatam ho rahi thi,
Tumhare aankho se ashko ki barsat ho rahi thi,
Samandar ki lehre thodi tez ho rahi thi,
Hum dono ko malum tha ki,
Ab ye dastaan khatam ho rahi thi.

Maine tumhare galo pr apna haath fera,
Dodhta huve waqt thoda thera,
Tum mere sine pr apna matha rakhti ho,
Aur humari khatm ho rahi kahani ka matam karti ho.

Mere dil me duniya ko jalane ki aag thi,
Kya batau me tumhe kitni bhari huvi meri aakh thi,
Me aur tum bs roo rahe the,
Aakhir kyu is duniya ko humari kahani na raas thi.

Ab sham ka akhri pal aya,
Juda hote huve hume humara fasana yaad aya,
Kya khoob thi humari kahani,
Uss kahani ka akhri paana likhne ka waqt aya.

Zulmat iss duniya ki,
Humara ishq mar gaya,
Andhero ke tamashe me,
Sara samandar chup gaya.
Ek bhi awaj nahi the ab humare saanso ke siva,
Aur andhero me thokar khate pani ke siva,

Ab kya bacha hai iss sham ke tarane me,
Sab ashiqo ko luta hai,
Inn paiso aur jhuti abru ke zamne me,
Ishq ka sif ek hi parwana hume yaad tha,
Jo kho chuka hai ab andhero ke taikhano me.

  • Author: hydrating (Offline Offline)
  • Published: July 15th, 2023 08:18
  • Category: Love
  • Views: 5
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.