Adhuri Kitab

hydrating

Adhuri kitab,

Dekha hai maine ishq ko kareeb se,

Dekha hai maine nafrat ko kareeb se,

Kya nadaan hota hai insan, 

Dekha hai maine bichadte dilo ko kareeb se.

 

Yaad kya karu me un uljhe palo ko,

Dafna chuka hu main apne sare rabo ko,

Chhod chuka hu me ishq ke raste purane,

Hasin hai ab uske sapne suhane.

 

Jab pehli baar dekh usse to sari chandni jhuti hogyi,

Dusri baar me to sari kainat fizul hogyi.

Dhere dhere meri aankhein uske chehre ka murid baangyi,

Me to ahmak kafir tha, pr wo mera khuda baangyi.

 

Haath thame hum ghanto raste pr chalte the,

Humare rishte ke charche sare shaher me chalte the.

Sab ashiqo me humare wade chalte the,

Aur kuch logo ke zuban pe din bhar humare kisse chalte the.

 

Hum maan chuke the,

Nahi hai iss duniya me koi mazhab magar mohabbat,

Nahi hai yaha koi iman magar mohabbat,

Nahi hai koi iss duniya ka rhebar ya koi peer,

Ashiqo ke liye to unka khuda hai mohabbat.

 

Ab wo sab din badal gaye,

Sab lherati fizayen badal gaye,

Jo sunate the sheher ko humari mohabbat ki ravani,

Sari aadhuri kitabo ke wo panne badal gye.

  • Author: hydrating (Offline Offline)
  • Published: July 20th, 2023 05:49
  • Category: Love
  • Views: 1
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.