NEET ki uljhane

Tamanna13

Hai zindagi ek Safar jiski manzil hi uska ant hai🛣️
Nahi pata kaha Jaa rahi hu🚶🏻‍♀️
Khush bhi hu ya bas chal Rahi hu🙃
Itna to Jaan liya hai hu mai thodi alag✨
Dhoondh rahi hu aajkal har jagah kahani koi
Hai koshish jaari is zindagi ko samjhne ki🦋
Chemistry mein sukh dukh ke kisse🧪
Physics mein jaadui duniya koi 🔮
Aur biology mein zindagiya nayi🧬
Nahi pata ki tha mera lakshya yehi 🎯
Ya fir kar di hai koi galti☠️
Ghum na jaaye meri zindagi inhi kitaabo mein kahi 📚
Azmaana hai khudko mere un har khayalo mein💭
Par galtiyon se hi samajhti hai cheeze 
Aur sulajhti hai zindagi💯
Rakhna hai vishwas is par bhi🤗💯
Lamba safar hai ⌛
Galat sahi sab azmana hai✅
Mehnat bhi karni hai aur khushiyan bhi manani hai🥳
Akele bhi rehna hai aur doosre ka saath bhi paana hai👤🫂
Iss raha par bhi chalna aur hai🚸
Aur rakhni hai voh ummeed 💫
Hongi ek apni pyaari kahani bhi❤️
Udna hai yaar🕊️
Inhi kitaabo ke pankh lagakar 🪶
Isi duniya mein ek nayi duniya jo banani hai🌏
Jaha honge dher saare voh jaadui pal🪄
Dhoondh rahi hu jinhe aaj apne khwaabon mein💭

❤️❤️❤️

  • Author: Tamanna13 (Offline Offline)
  • Published: August 24th, 2023 07:24
  • Comment from author about the poem: 16 saal ki umra mein jab tum pehli baar school se nikalkar bahaar ku duniya dekhte ho aur tumhe usi kachi umra mein apni poori zindagi decide karke jee neet ca jaisi preparations mein laga Diya jata hai....shayad tum voh decision nadani mein le lete ho ya apne mammi papa ki baate sunkar , fir yuhi kabhi soch mein pad jaate ho ki kya vo sach mein tumhara hi decision tha na , aur dino tak usi soch mein pade reh jaate ho.... Khushiyan dhoondhne nikle the par rasto ki uljhano mein hi fas gaye....
  • Category: Unclassified
  • Views: 2
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.