Do Sacche Dost hain mere,
Mera Khayal Rakhte hain bahut,
Mere Chehre ko Dekhte hi,
woh has padte h mujh pe.
Ham logo me koi bhed nhi,
Bhai k jaisa yarana hai.
Koi puchhta hai toh batate han,
Woh Bhai k jaisa Pyara hai.
Pyaar Se Mujhe "Motu, Genda" Bulaate hain ,
Ek Ko jara si Chot lage,
Ham milkar Dard Mitate han.
Mere Yaar Bahut khaas hain par,
Mujhe mitha khaane se mana karte han.
Jab ham ek saath hote han toh kab Din,
Se Raat Gujar Jaati hai pata hi nhi chalta.
Unke saamne mera koi Bahana nhi Chalta,
Ek ko Football toh dusre ko PUBG se Pyaar hai.
Sumit hamara raat bhar chatting karta rehta hai,
Toh wahin hamara Kishno hamesha Soya rehta hai.
Din Bhar, Din Bhar ye words bolte rehte hain,
Lekin pata nhi kyun hamesha Udaas rehte hain.
Kishno hamesha ghar jaana chahta hai Lekin,
Sumit ko ghar jaana achha nhi lagta hai Kyun?
Bhaiyo jitna pyaar hai ham me, niswaarth Prem lutate hain,
Dukh sukh me saath Nibhake Ham Yaaro ki preet nibhate hain.
Pyaar hamara bana rhe ham Dil se Yaari sacchi nibhate hain,
Khuda Dosto ko khus rakhna ham unpar Jaan lutaate han.
- Author: Chandan (Pseudonym) ( Offline)
- Published: October 24th, 2023 06:40
- Category: Unclassified
- Views: 2
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.