Kar Paoge kya? (Hindi)

Soumya Singh

Thak Gaya hun ab is bhaag daud se,
Apni godd pe sar rakh Sula paogi kya?
Agar mein bolun meri Khushi ho tum,
Mere liye apne saare gham bhula paogi
kya ?

Jab koi galti krdoon main
Chillana mujhe maar bhi Lena,
Par uske baad maaf kr bhul jaogi kya ?
Jo dil toda hai maine
Manaunga mai uss Dil ko, sajaunga uss Dil ko
Par tum mujhse phir se voh pyaar kar paogi kya?

Sapne dekhe Jo voh sab poore karne hai
Par mujhe poori zindagi seh paogi kya?

Izhaar kar raha hu apne pyaar ka mai tumhe
Apna sabkhuch de raha hu tumhe
Par tum mujhe tum de paoge kya?

  • Author: mentrauz (Pseudonym) (Offline Offline)
  • Published: July 31st, 2024 04:36
  • Category: Love
  • Views: 14
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.