Phir wahi shaam aa gayi jaha ham mila karte the
Usi raste se nikalte uss raste ko jiya karte the
Un muskurakto me jab ankhe phass jati thi
Uss haar ki jeet se hi to jiya bharte the
Jab waqt ishara karta tha ye kadam wahi badte the
Nazre bhi unhe hi dhoodnti nazare jinhe dhoonda karte the
Wahi rasta, wahi ghar or jab wahi awaz kaano me padti thi
Ham bhi sukoon se muskura liya karte the
Or jab me ghr pohocha hu ussi ki raah tak ta hu
Khidki par bethe ussi shaam ka intezaar karta hu or.....
Fir wahi shaam aa gyi or ye shaam kai suhaani he
Ho bhi kyu na ye uss raste ki jo kahani he
- Author: adnan it is ( Offline)
- Published: September 11th, 2024 10:13
- Comment from author about the poem: Bht lambi kahani he pyaar ki or ek raste ki jo uske ghr se nikalta he....
- Category: Love
- Views: 23
- Users favorite of this poem: Meera Mere
Comments1
Kya khoob likha hai!!!🌟
Jiske liye likha he, ab sunta kaha he
Rasta wahi he par manzil ab tanha he...
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.