Safar. (Hindi)

adnan it is

Lambi thi ye sadak bht or asaan to kya hi chalna tha 

Wahi chalte chalte kahi beth ke gardishee me krta tha 

Kahi bhagta to bhi der thi to kahi chalna bhi akhadta tha 

Kahi barish ka muskurana to dhoop ka vo bhadakna tha 

Kahi pohoch ke guft gu to kahi chuppi me teer ka chalna tha 

Gale pe the do haath kahi or kahi haatho ka fanda ban na tha

Par kahi shaam e bhi naram thi or vo jeb oo ka vo sisakna tha 

Jaha der kisi ko hoti thi or waqt bhi suiiyoo se dadta tha 

 

kya baya karu unn subha sawer o ka jinse ye sadak hari he 

Wahi daudti hui gadi usi jagha pe khadi he 

Bas chadne ki der he or kuch hi ghnto me....

Ye sadak to shuru hi hui he par ye safar ab khatam yahi he 

  • Author: adnan it is (Offline Offline)
  • Published: September 13th, 2024 22:52
  • Comment from author about the poem: Jab safar ki shuruwat krte he to har cheez kuch mushkil si lagti he...fir to un mushkilo ki adatt padd jati he or wahi achhi bhi lagti he. Or jab manzil paa lete he to ussi safar ki yaade....
  • Category: Unclassified
  • Views: 1
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors




To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.