Yaha Seeta se charitra par sawal utha hai,
Bhari sabha mei Paanchali ka bhi aanchal Fata hai,
Meera se prem ko vish mila hai,
Khud Radha Rani ko duniya ne taana kaasha hai.
Arey tu toh aam si ladki hai,
Yaha logon ne deviyo ko bhi nah chhora hai,
Maa Seeta ko bhi charitraheen Bola hai.
Kyu Har kisi se jeene ki izajat leti hai?
Kyu duniya ke taano par apne sapno ko taar taar karti hai?
Kyu kisi ke kuch kehne par raat raat bhar roti hai?
Kya kahenge chaar log?
Nah badlegi duniya,
Aur nah badlenge log,
Galat thi aur galat hi rahegi tu.
- Author: Meera Mere (Pseudonym) ( Offline)
- Published: October 2nd, 2024 01:03
- Category: Reflection
- Views: 12
- Users favorite of this poem: Meera Mere, adnan it is
Comments1
Beautiful peom keep writing the hindi ones you have a sinc there!!
Thank you!!
Hindi surely does make it better....
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.