Kaisi mehak rahi hai khushbu kaliyo se nikalkar
Rangat inki jhalak rahi aankhon me hairan hokar
Roshni si kahi guzri meri aankho se
Dekho mausam mehak utha tumhare chale aane se
Inn aankhon ko bhi umeed hai phir bahaar ke lautne ka
Barish ka intezar hai khushbuo ko nikalne ka
Khwaishon ki raah hai abhi bahut lambi
umeed baaki hai phir bahaar lautegi
Darakht ke daaliyaan jhuk chuki hai
Phul inse latakte rehtey hai
Waqt ki silvate ukhad si rahi hai
Raaz jindgi ke bayan ho rahi hai
Ek pal ki khushbu hawa ho gyi
Yaha aate kaha gum ho gayi
Nikal ke udi thi daaliyon se khilkar
Intejaar ki furqat me dhal si gyi hai
Bahaar ki khushi me patte girey hai raah par
Baahe failaakar khade hai darakht gale lagane ko
Jhilmilakar barsi boondi jab khush se udas hua badal
Sukoon ki ghata,mehak uthi phir aab o hawa
Khil gaye kaliyaan mehak uthey galiyan
Jo udas jhool padi thi baahe darakht ki
Phir hari ho gyi tere laut aane se
Zard ki sard se phir sabz hui pattiyan-
Maut se jaag uthi raunak
tere laut aane se, tere mil jane se
By:-nigah-e-bezarbaak
-
Author:
Musafir E murad (
Offline)
- Published: July 27th, 2025 14:54
- Comment from author about the poem: Tell me how it's, it's my first poem that i am sharing with you if you like it then response on it and follow me for more ..
- Category: Nature
- Views: 8
- Users favorite of this poem: Priya Tomar
Comments1
Bhut accha likha hai .
Padkar sukun sa mila .....
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.