Kuch kehna chahte thhe hum, par kahe bhi toh kya kahe?
Sunne-ka shaukh hai tumhe, par baatein sirf tumhi karte rahe
Tumbhi ajeeb ho, bahaane bhi tumhare kamaal ke
Sunne ki baat thi, par tum thhe hi sawaal ke
Yuuhi toh daur-e-zindegi mein kitni rahi pareshaniyaa,
Saare gham-e-ikhtiyar na ho, dil mein chahe rahe mausam-e-khamoshiyaa
Hazaar baatein thi kehne ko, magar sunne waala na tha koyi
Afsos ke iss zindagi mein, mujhe samajhne waala mila na koyi
-
Author:
Lheom (Pseudonym) (
Online)
- Published: July 29th, 2025 13:25
- Comment from author about the poem: Just a personal rant, poetrified. Hope you guys feel the \\\"feels\\\" I wanted to express.
- Category: Reflection
- Views: 12
- Users favorite of this poem: Priya Tomar, Lheom
Comments1
Waah ! Jabab nhi.....
thank you!
You are very welcome
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.