Woh shaks jo yaadon mein baasta hai par dil-o mein nehi.
Woh rahe toh mauj-e-sargam ho par unki kaami kisiko aagaaz nehi.
Woh jo baatein sune sabki par unki baari kabhi aata nehi.
Woh jo haaste hai zoro se par asal mein muskurate bhi nehi.
Har woh insaan jo rawnak laaye zindegi mein, dekhna—woh kisike apne ban paate nehi.
-
Author:
Lheom (Pseudonym) (
Offline)
- Published: August 21st, 2025 04:23
- Category: Sad
- Views: 16
- Users favorite of this poem: Priya Tomar
Comments1
Bhut gahri bat kah di kuchh lafzo mey.
Aapne puch liya, warna hum kahan kehne waale the
Kyun na aapki iss baat ko, ek sher mein bayaan karein?
Har gehri baat sochi nahi jaati, kuch takalluf se maloom padhta hai
Yaadein umar-bhar satayengi, magar phir bhi jaise-taise jeena padhta hai
Bahut khub, hum kayal hai apki nazmo ke
To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.