Waqif Hai

Lheom

Jin logon se lagaav hai,

Unko mujhse hai sirf shikva
Kehtahu jo woh samajhte nehi
Kare bhi kya—ye karke bayaan?

 

Apni har khamiyon se waqif hai,
Zaroori nehi humein zikr-e-yaad ki
Har nok-jhok pe baatein chedhi
Harbar suntehe wohi ghisi-piti kahani

 

Meine zaahir kiya nehi waise,
Par kya hi milta woh karke bhi
Humein toh shor ki aadat hai
Sukoon ka pata kabhi raas huwa nehi

 

Dar-dar pe thokar khane waale,
Tumhara naseeb bhi mujhse behtar hai
Tumhe pata hai tumhara yahan koyi nehi,
Humara hoke bhi kaha thehra koyi?

 

Khair, chodho bhi inn masrufiyaat ko
Zindegi kahan kisiko mutma'een ho?
Likhte hai hum dil-e-nadaan ki baatein
Keh na paye jo usse likh-likh ke mann fuslate

 

Murad hai kuch armaan-e-jahaan mein meri,
Shayad hi kabhi unhe hum karpate puri
Phirbhi ek arr'se se bun rahe hai hum
Sapne—apni khwahishon ki udaan ki.

 

Bulaand hausle se nayi buniyaad banane aaye hai,
Haasil nehi—hum iss bar kuch kar dikhane aaye hai!
Nakara, nalayek, ya phir buz'dil hi bol do!
Unn gaaliyon se kya darna jo taaliyon ki ekdin mehfil ho?

  • Author: Lheom (Pseudonym) (Offline Offline)
  • Published: September 28th, 2025 13:03
  • Comment from author about the poem: It's a short story of how my life is going about for the last few days, months, or even years. Couldn't really keep the rhythm, so let it freely flow, run it's course. Hopefully it'd feel a lot better to read than most of my other writings, since this one actually ends on a very positive note. Hope you like it!
  • Category: Short story
  • Views: 5
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors


Comments +

Comments1



To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.