Pyaar Aaj Kaal

Lheom

Saccha pyaar aur sacche log

Do aisi chiz jo ajkal kahi nehi milte

Jinke paas na ho, woh iske khwaab dekhte hai

Aur jinke paas ho, woh isiko sardard kehte hai

 

Pehle pyaar hota tha do dil o ke beech, 

Aur aaj pyaar hota hai do shareer ke beech

Pehle zevaraat sasta tha, pyaar mehengga tha,

Aaj zevaraat mehengga hai, par pyaar sasta

Pehle phul dekar manate thhe,

Aaj condom dekar manate hai

Pehle pyaar karnewaale alaag nehi hote,

Aaj pyaar karke bhi log alaag ho jate hai

Pehle baccha lena sabka sapna hota tha,

Aaj sapno ke liye bacche ko-hi gira dete hai.

Pehle pyaar sirf ek ladka aur ek ladki ke beech hota tha,

Par aaj kisi se kisi ko bhi pyaar hojata hai!

 

Aise halaaton mein agar tumhe koyi beintehaan mohabbat kare

Toh uspe naaz karo, usko ek mauka deke toh dekho
Shayad dobara kabhi ye ehsaas tumhe na mile
Jo uss shaks ne tumhe mehsus karwaya apne bartav se.

Kisine bohat khub likkha tha,
“Har kisiko nehi milta, yahaan pyaar zindegi mein.”
Mujhe hi dekh lo!
Ekbar tut kya gaya, dil ke darwaaze hi bandh kar diye

  • Author: Lheom (Pseudonym) (Offline Offline)
  • Published: October 11th, 2025 13:55
  • Comment from author about the poem: Wrote this last year during the internet blackout.
  • Category: Love
  • Views: 8
Get a free collection of Classic Poetry ↓

Receive the ebook in seconds 50 poems from 50 different authors


Comments +

Comments1

  • Priya Tomar

    Kitni khubsurati se aaj ka sach bayan kiya hai !
    Behad umda !

    • Lheom

      thank you!



    To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.