Insaan

ᴍᴏᴏɴ

Kaheen aik insaan safar par nikla
Nah woh ameer nah ghareeb
Nah buzurg nah bachpana
Nah woh zinda nah hi laash

Insaan ka dill bohot buzdil tha
Insaan ka wajah bohot nazuk thi
Uski Insaaniat hi sirf
Usko raasta dekharahi thi

Sochta tha woh, “Kya karonga mein?
Nah jeab me aik sakah
Nah sir pe koi chaat,
Nah koi shoq, nah koi jazbah

kuch apna nihen,
kuch khone ko nihen,
kuch apana kahalane ko nihen,
ek sakah apana naam nihen”

Kehta tha, “Bhattak gaya hon mein”
Sochta tha ke kabhi kushi nahi dekhe ga
Phir bhi qadam par qadam rakh kr
Umeed ke khilaf, Insaan barhta gaya

“Sitaaron ke beech safar 
samandar paar guzroon
nah hi sath koi sardar, 
nah hi koi sathi”

kaheen apne ko dhoondne nikla,
kaheen khud ko kho betha hai
chaand se batein aesi karta
jese keh woh sun sake

Phir Insaan thak gaya
Kahan umeed? Kahan Khob?
Jab Insaan me himmat nahi,
Dill me manzil hi nahi,
Woh kese age barhe?

zameen ko apani kabar man kar
insan ghas par let gaya.
apane aap se ahed kiya
kah ab sarf uski ruh athe gi

Insaan socha,

“kahan woh joh sone me sote the?
kahan woh jin ke naam pe aik sakah nahi?
Akhir me mitti sirf aik hi hai
Moot ko koi farq nahi”

...

Sat minute.

Aik awaz boli,

“Raasta khote nahi 
Toh milta kese?
Insaan, tum bohot qareeb the
Tumhara jawab samne tha,

Tum ne Aasman me motion ko dekha.
Chand se dill ki batein ki.
zamin ke staron, phol ko gina.
kya ye zindagi ek khob nahen?”

  • Author: ᴍᴏᴏɴ (Pseudonym) (Offline Offline)
  • Published: November 20th, 2026 14:13
  • Comment from author about the poem: Zindagi ka maqsad zindagi ke bahir mat dhoondo, apne waqt ane se pehle jeeo! jeeo, koinke moot ko koi farq nahi"
  • Category: Short story
  • Views: 2
  • In collections: Urdu.


To be able to comment and rate this poem, you must be registered. Register here or if you are already registered, login here.